wo pyar tha mera mein uski zindagani na bn saki
wo sawal tha jiska mein jawab na bn saki
wo rat thi jiski mein chandni na bn saki
wo smandar tha jiski mein gehrai na bn saki
wo dard tha jiski mein marham na bn saki
wo dua thi meri jiska mein zikr na bn saki
wo lamha tha mera mein uska samay na bn saki
wo ghar tha jiski mein dehliz na bn saki
wo gum tha mera pr uska aansu na bn saki
wo khushi tha meri mein uski hasi na bn saki
wo sahil tha mera jiski mein leher na bn saki
wo safalta bn gaya meri mein uski koshish na bn saki
wo mazil tha meri mein rah na bn saki
wo ayana tha mera mein uski parchai na bn saki
wo andhera tha mera mein uski roshani na bn saki
wo din tha mera mein uski sham na bn saki
wo lekhak tha mera aur mein uski kahani na bn saki
Haa wo pyar tha mera mein uski zindagani na bn saki
_Nidhi$

Comments
Post a Comment