Posts

Showing posts from February, 2020

wo pyar tha mera mein uski zindagani na bn saki

Image
wo sawal tha jiska mein jawab na bn saki wo rat thi jiski  mein chandni na bn  saki wo smandar tha jiski mein  gehrai na bn saki wo dard tha jiski mein marham na bn saki wo dua thi meri jiska mein zikr na bn saki wo lamha tha mera mein uska samay na bn saki wo  ghar tha jiski mein dehliz na bn saki wo gum tha mera pr uska aansu na bn saki wo khushi tha meri mein uski hasi na bn saki wo sahil tha mera jiski mein  leher na bn saki wo safalta bn gaya meri mein uski koshish na bn saki wo mazil tha meri mein rah na bn saki wo ayana tha mera mein uski parchai na bn saki wo andhera tha mera mein uski roshani na bn saki wo din tha mera mein uski sham na bn saki wo lekhak tha mera aur mein uski  kahani na bn saki Haa wo  pyar tha mera mein uski zindagani na bn saki _Nidhi$